Tuesday, 5 September 2017

photographer kaise bane & Photography se kaise paise kamaye

photographer kaise bane aur isme apna career kaise banaye. Apne kahi suna hoga ki ek image 1000 content ke barabar hota hai. yah sahi bhi hai,mtlb ap logo ko jo bol ke ni smja sakte usko photo ke jariye asani se smja sakte ho. To chaliye jante hai ki photography kya hai,  aur isme career ka kya option hai.


kya hai photography?

Friends apne photography ke bare me suna to hoga hi. Ya bahut hi purana technology hai. iske bina sab kuch adura hai. yaha tak internet bhi kuch ni hai, qki agar internet me koi image ni hoga to ise samjne me bahut problem ayegi. To aise me photography bahut hi khas hai. pahle isme career ka koi khas option ni tha but samay ke sath ya aj bahut se field me iske career option najar ate hai. isme alag-alag tarha ke photography hote hai, jaise fashion, event, wild life ,news, film, architecture,traival photography etc.

photography in career-

photography career ka accha option hai. aj photo khichvana kisko pasand ni hai. ya news media ko bhi to photographar ki jarurat hoti hai. aye din internet user ko naye naye image ki jarurat hoti hai. to aise me isme career banane ka achha mouka bhi hai. qki aj ke technology ko dekhte huye ye age isme career ke kya kya option najar ayenge ap soch ni sakte, iski lagatar mang bad rahi hai.

photography me kha hai kam?

Waise to ‘photography‘ me bahut se kam, lekin logo me iski acchi samaj na hone ke karan o is field se dur chala jata hai. ya alag-alag type ke hote hai jaise-

Film photographer-

dosto aj fim kon ni dekhta to sabko pata hoga ki ek film me sabse jayda jaruri camera man hota hai uska photography hota hai, yah film making se lekar end tak jo bhi hota hai uspe kam karte hai.

Wedding photographer-

aj har log apni har chhoti chhoti bato ko pic ya video me rakhna chahta hai. to wedding ki bat kare to, aj sabhi ke wedding ho ya anniversary me camera bhut jaruri hota hai. khas kar shadi ka jo seasen hota hai usme camera man ki bahut demond hoti hai.

Wild life photographer-  

agar apko name chahiye to ap is me apna career chune. Aj wild life photoprapher ki bahut jarurat hoti hai. unhe desh duniya ki alag-alag photo ya jungli janvar,natural photo khichna hota hai iska national aur international me demond hota bhai.

Fashion photographer-

isme glamer photography hoti hai , isme photographer ko models,designer, yas fashion house ke liye photography karni hoti hai.yaha alag alag selebrity se milne ka mouka bhi milta hai.

Press photography-

aj news kon ni dekhta hai. to aye din  press photographer ki jarurat hoti rahti hai. ya news me photography ka kam karte hai.

kya course karna hoga

iska course karna bahut hi asan hai. ap 12 ke bad isko kar sakte ho. Lekin apko phle gragvation karna padega, ya waise jaruri ni hai ya apki choice hai. ki ap kya krna chahte ho. Isme degree, diploma dono ka course kiya ja skta hai. aj kal mass communication me bhi iski pdai ki jati hai.

online photography-

Agar ap isme intrest rakhte hai aur isko ghar par hi karna chahte ho to online photography bahut accha option hai . isme 2-3 month me apko course karaya jata hai. iski puri traning di jati hai. to ap online karke bhi accha photographer ban sakte ho.

salary-

Is field me salary koi fix ni hai ap isme jitta mehnat karoge utta kama sakte ho. Ap apna photo sell karke bhi paisa earn kar sakte ho. But agar ap job karte ho to startup apki payment 15-20000 tak hogi.
Wahi ap ek professional photographer bante hai to apki payment 1 lakh tak ja skti hai. isme ap khud ka studio bhi khol sakte ho. Jisme apki bahut acchi kamayi hogi.,

To friends mujhe ummid hai ki apko hamari ye post pasand ayi hogi. agar apko hamara yah post pasand aya hoga to apne friend ke sath jarur share kare aur hame sahyog de. ham age bhi isse acchi achhi jankari dete rahenge jo apki liye bahut helpful ho sakta hai.

Thanks For Reading My Post.....

2 comments:

  1. very nice, very well explained in every country there are different criteria and different challenges
    for career in photography in Los angeles and southern california visist my
    destination photography in los angeles site

    ReplyDelete
  2. very informative article for those who wants to be a professional career
    Kauai wedding photographer

    ReplyDelete